baiThtā uThtā thā maiñ yāroñ ke biich
ho gayā dīvār dīvāroñ ke biich
jāntā huuñ kaise hotī hai sahar
zindagī kaaTī hai bīmāroñ ke biich
mere is koshish meñ baazū kaT ga.e
chāhtā thā sulh talvāroñ ke biich
vo jo mere ghar meñ hotā thā kabhī
ab vo sannāTā hai bāzāroñ ke biich
tum ne chhoḌā to mujhe ye tā.erāñ
bhar ke le jā.eñge minqāroñ ke biich
tujh ko bhī is kā koī ehsās hai
terī ḳhātir Than ga.ī yāroñ ke biich
baiThta uThta tha main yaron ke bich
ho gaya diwar diwaron ke bich
jaanta hun kaise hoti hai sahar
zindagi kaTi hai bimaron ke bich
mere is koshish mein bazu kaT gae
chahta tha sulh talwaron ke bich
wo jo mere ghar mein hota tha kabhi
ab wo sannaTa hai bazaron ke bich
tum ne chhoDa to mujhe ye taeran
bhar ke le jaenge minqaron ke bich
tujh ko bhi is ka koi ehsas hai
teri KHatir Than gai yaron ke bich
Source: Book : Ishq Abaad (kulliyat) (Pg. 537)
Leave a comment