ajiib taur kī hai ab ke sargirānī mirī
maiñ tujh ko yaad bhī kar luuñ to mehrbānī mirī
maiñ apne aap meñ gahrā utar gayā shāyad
mire safar se alag ho ga.ī ravānī mirī
bas ek moḌ mirī zindagī meñ aayā thā
phir is ke ba.ad ulajhtī ga.ī kahānī mirī
tabāh ho ke bhī rahtā hai dil ko dhaḌkā sā
ki rā.egāñ na chalī jaa.e rā.egānī mirī
maiñ apne ba.ad bahut yaad aayā kartā huuñ
tum apne paas na rakhnā koī nishānī mirī
ajib taur ki hai ab ke sargirani meri
main tujh ko yaad bhi kar lun to mehrbani meri
main apne aap mein gahra utar gaya shayad
mere safar se alag ho gai rawani meri
bas ek moD meri zindagi mein aaya tha
phir is ke baad ulajhti gai kahani meri
tabah ho ke bhi rahta hai dil ko dhaDka sa
ki raegan na chali jae raegani meri
main apne baad bahut yaad aaya karta hun
tum apne pas na rakhna koi nishani meri
Leave a comment