kahāñ tak kāvish-e-isbāt-e-paiham
kahāñ tak zaḳhm-e-dil tadbīr-e-marham
sukūt-e-shab hujūm-e-nā-umīdī
shumār-e-dāġh-hā-e-zīst aur ham
kabhī aalam ġhubār-e-chashm-e-hairāñ
kabhī vo ik nigah aur ek aalam
baḌhāo jur.at-e-afkār kī lau
abhī hai garmī-e-bazm-e-junūñ kam
dahakne do abhī dāġhoñ se mahfil
chhalakne do abhī paimāna-e-ġham
ye kis manzil pe le aa.ī tamannā
ki bas ik dard-e-tanhā.ī hai mahram
kahan tak kawish-e-isbaat-e-paiham
kahan tak zaKHm-e-dil tadbir-e-marham
sukut-e-shab hujum-e-na-umidi
shumar-e-dagh-ha-e-zist aur hum
kabhi aalam ghubar-e-chashm-e-hairan
kabhi wo ek nigah aur ek aalam
baDhao jurat-e-afkar ki lau
abhi hai garmi-e-bazm-e-junun kam
dahakne do abhi daghon se mahfil
chhalakne do abhi paimana-e-gham
ye kis manzil pe le aai tamanna
ki bas ek dard-e-tanhai hai mahram
Source: Rooh-e-Ghazal,Pachas Sala Intekhab
Leave a comment