Subscribe to our newsletter and get our newest updates

Abbas Tabish

  • Ghazal


hansne nahin deta kabhi rone nahin deta


hañsne nahīñ detā kabhī rone nahīñ detā
ye dil to koī kaam bhī hone nahīñ detā

tum maañg rahe ho mire dil se mirī ḳhvāhish
bachcha to kabhī apne khilaune nahīñ detā

maiñ aap uThātā huuñ shab-o-roz kī zillat
ye bojh kisī aur ko Dhone nahīñ detā

vo kaun hai us se to maiñ vāqif bhī nahīñ huuñ
jo mujh ko kisī aur kā hone nahīñ detā

hansne nahin deta kabhi rone nahin deta
ye dil to koi kaam bhi hone nahin deta

tum mang rahe ho mere dil se meri KHwahish
bachcha to kabhi apne khilaune nahin deta

main aap uThata hun shab-o-roz ki zillat
ye bojh kisi aur ko Dhone nahin deta

wo kaun hai us se to main waqif bhi nahin hun
jo mujh ko kisi aur ka hone nahin deta

Videos
This video is playing from YouTube Videos
This video is playing from YouTube Abbas Tabish

Source: Book : Ishq Abaad (kulliyat) (Pg. 287)

Leave a comment

+