Subscribe to our newsletter and get our newest updates

Waliullah Muhib

  • Ghazal


duniya mein kya kisi se sarokar hai hamein


duniyā meñ kyā kisī se sarokār hai hameñ
tujh bin to apnī ziist hī dushvār hai hameñ

tū hī nahīñ to jaan tirī jaan kī qasam
ye jaan kis ke vāste darkār hai hameñ

girte haiñ dukh se terī judā.ī ke varna ḳhair
chañge-bhale haiñ kuchh nahīñ āzār hai hameñ

mar bach ke din to guzre hai jūñ-tūñ par is tarah
nazroñ meñ nūr-e-mehr shab-e-tār hai hameñ

phir raat kī na pūchh haqīqat ki sub.h tak
āh-o-fuġhān-o-dīda-e-ḳhūñbār hai hameñ

ho kar udaas baaġh meñ jāveñ kabhū to vaañ
nazroñ ke biich har rag-e-gul ḳhaar hai hameñ

din kā vo haal raat kā vo kuchh bayān hai
sair-e-chaman so dil se kuchh ai yaar hai hameñ

tis par bhī ham se milne kā inkār hai tujhe
jis meñ tirī razā sū-e-iqrār hai hameñ

shikve bhare haiñ dil meñ va-lekin 'muhibb'-e-man
kab tere aage tāqat-e-guftār hai hameñ

duniya mein kya kisi se sarokar hai hamein
tujh bin to apni zist hi dushwar hai hamein

tu hi nahin to jaan teri jaan ki qasam
ye jaan kis ke waste darkar hai hamein

girte hain dukh se teri judai ke warna KHair
change-bhale hain kuchh nahin aazar hai hamein

mar bach ke din to guzre hai jun-tun par is tarah
nazron mein nur-e-mehr shab-e-tar hai hamein

phir raat ki na puchh haqiqat ki subh tak
aah-o-fughan-o-dida-e-KHunbar hai hamein

ho kar udas bagh mein jawen kabhu to wan
nazron ke bich har rag-e-gul KHar hai hamein

din ka wo haal raat ka wo kuchh bayan hai
sair-e-chaman so dil se kuchh ai yar hai hamein

tis par bhi hum se milne ka inkar hai tujhe
jis mein teri raza su-e-iqrar hai hamein

shikwe bhare hain dil mein wa-lekin 'muhibb'-e-man
kab tere aage taqat-e-guftar hai hamein


Source: Deewan-e-Waleeullah Muhib

Leave a comment

+