ahl-e-junūñ the fasl-e-bahārāñ ke sar ga.e
ham log ḳhvāhishoñ kī harārat se mar ga.e
hijr o visāl ek hī lamhe kī baat thī
vo pal guzar gayā to zamāne guzar ga.e
ai tīrgī-e-shahr-e-tamannā batā bhī de
vo chāñd kyā hue vo sitāre kidhar ga.e
vahshat ke is nagar meñ vo qaus-e-quzah se log
jaane kahāñ se aa.e the jaane kidhar ga.e
ḳhushbū asiir kar ke uḌaa.e phirī hameñ
phir yuuñ huā ki ham bhī fazā meñ bikhar ga.e
ahl-e-junun the fasl-e-bahaaran ke sar gae
hum log KHwahishon ki hararat se mar gae
hijr o visal ek hi lamhe ki baat thi
wo pal guzar gaya to zamane guzar gae
ai tirgi-e-shahr-e-tamanna bata bhi de
wo chand kya hue wo sitare kidhar gae
wahshat ke is nagar mein wo qaus-e-quzah se log
jaane kahan se aae the jaane kidhar gae
KHushbu asir kar ke uDae phiri hamein
phir yun hua ki hum bhi faza mein bikhar gae
Source: Book : Quarterly TASTEER Lahore (Pg. 186) Author : Naseer Ahmed Nasir Publication : Room No.-1,1st Floor, Awan Plaza, Shadman Market, Lahore (Issue No. 7,8 Oct 1998 To Mar.1999) Edition : Issue No. 7,8 Oct 1998 To Mar.1999
Leave a comment