Subscribe to our newsletter and get our newest updates

Abbas Rizvi

  • Ghazal


sitare chahte hain mahtab mangte hain


sitāre chāhte haiñ māhtāb māñgte haiñ
mire darīche na.ī āb-o-tāb māñgte haiñ

vo ḳhush-ḳhirām jab is raah se guzartā hai
to sañg-o-ḳhisht bhī izn-e-ḳhitāb māñgte haiñ

koī havā se ye kah de zarā Thahar jaa.e
ki raqs karne kī mohlat habāb māñgte haiñ

ajiib hai ye tamāshā ki mere ahd ke log
savāl karne se pahle javāb māñgte haiñ

talab kareñ to ye āñkheñ bhī in ko de duuñ maiñ
magar ye log in āñkhoñ ke ḳhvāb māñgte haiñ

ye ehtisāb ajab hai ki mohtasib hī nahīñ
rikāb thāmne vaale hisāb māñgte haiñ

sutūn-o-bām kī dīvār-o-dar kī shart nahīñ
bas ek ghar tire ḳhāna-ḳharāb māñgte haiñ

sitare chahte hain mahtab mangte hain
mere dariche nai aab-o-tab mangte hain

wo KHush-KHiram jab is rah se guzarta hai
to sang-o-KHisht bhi izn-e-KHitab mangte hain

koi hawa se ye kah de zara Thahar jae
ki raqs karne ki mohlat habab mangte hain

ajib hai ye tamasha ki mere ahd ke log
sawal karne se pahle jawab mangte hain

talab karen to ye aankhen bhi in ko de dun main
magar ye log in aankhon ke KHwab mangte hain

ye ehtisab ajab hai ki mohtasib hi nahin
rikab thamne wale hisab mangte hain

sutun-o-baam ki diwar-o-dar ki shart nahin
bas ek ghar tere KHana-KHarab mangte hain


Source: Book : Ghazal Calendar-2015 (Pg. 11.09.2015)

Leave a comment

+