ashkoñ ko ārzū-e-rihā.ī hai roiye
āñkhoñ kī ab isī meñ bhalā.ī hai roiye
ronā ilāj-e-zulmat-e-duniyā nahīñ to kyā
kam-az-kam ehtijāj-e-ḳhudā.ī hai roiye
taslīm kar liyā hai jo ḳhud ko charāġh-e-haq
duniyā qadam qadam pe sabā.ī hai roiye
ḳhush haiñ to phir musāfir-e-duniyā nahīñ haiñ aap
is dasht meñ bas ābla-pā.ī hai roiye
ham haiñ asīr-e-zabt ijāzat nahīñ hameñ
ro pā rahe haiñ aap badhā.ī hai roiye
ashkon ko aarzu-e-rihai hai roiye
aankhon ki ab isi mein bhalai hai roiye
rona ilaj-e-zulmat-e-duniya nahin to kya
kam-az-kam ehtijaj-e-KHudai hai roiye
taslim kar liya hai jo KHud ko charagh-e-haq
duniya qadam qadam pe sabai hai roiye
KHush hain to phir musafir-e-duniya nahin hain aap
is dasht mein bas aabla-pai hai roiye
hum hain asir-e-zabt ijazat nahin hamein
ro pa rahe hain aap badhai hai roiye
Leave a comment