Subscribe to our newsletter and get our newest updates

Abbas Dana

  • Ghazal


gardish-e-dauran se ek lamha churane liye


gardish-e-daurāñ se ik lamha churāne liye
sochnā paḌtā hai kitnā muskurāne ke liye

kitnī zahmat jheltā hai ek muflis mezbān
ghar kī bad-halī ko mehmāñ se chhupāne ke liye

bhuuk un ko le ga.ī hai kār-ḳhānoñ kī taraf
ghar se bachche nikle the schōl jaane ke liye

ḳhuun apnā bech kar aayā hai ik majbūr baap
beTiyoñ ke haath par mehñdī lagāne ke liye

zindagī jaltī hai kitnī dozaḳhoñ kī aag meñ
chār-dīvāroñ kī ik jannat banāne ke liye

haa.e tyauhāroñ ne logoñ ko bhikārī kar diyā
qarz lenā paḌtā hai ḳhushiyāñ manāne ke liye

ho rahe haiñ aaj daana āñdhiyoñ meñ mashvare
sirf mere ghar kā ik dīpak bujhāne ke liye

gardish-e-dauran se ek lamha churane liye
sochna paDta hai kitna muskurane ke liye

kitni zahmat jhelta hai ek muflis mezban
ghar ki bad-hali ko mehman se chhupane ke liye

bhuk un ko le gai hai kar-KHanon ki taraf
ghar se bachche nikle the school jaane ke liye

KHun apna bech kar aaya hai ek majbur bap
beTiyon ke hath par mehndi lagane ke liye

zindagi jalti hai kitni dozaKHon ki aag mein
chaar-diwaron ki ek jannat banane ke liye

hae tyauhaaron ne logon ko bhikari kar diya
qarz lena paDta hai KHushiyan manane ke liye

ho rahe hain aaj dana aandhiyon mein mashware
sirf mere ghar ka ek dipak bujhane ke liye


Source: Book : Fanoos (Pg. 34) Author : Abbas Dana Publication : Shahid Book Depot Stedum Road Noor Nagar Rakhyal Ahmdabad (1993) Edition : 1993

Leave a comment

+