Subscribe to our newsletter and get our newest updates

Abbas Alvi

  • Ghazal


chashm-e-zahir-bin ko har ek pesh-manzar aashna


chashm-e-zāhir-bīñ ko har ik pesh-manzar āshnā
mil nahīñ saktā tujhe ab mujh se behtar āshnā

zarf terā mujh pe raushan ho gayā hai is tarah
jis tarah qatre se hotā hai samundar āshnā

TūTnā taqdīr us kī toḌnā us kā ḳhamīr
ġhair mumkin hai na ho shīshe se patthar āshnā

har tarah ke phuul haiñ dil kī zamīñ par dekhiye
kis tarah kah duuñ nahīñ siine se ḳhanjar āshnā

maiñ ne chaTTānoñ pe gul-būTe tarāshe haiñ bahut
aap kī nazreñ bhī hotīñ kaash manzar-āshnā

jāntā huuñ kaun kyā hai aap kyuuñ deñ mashvara
maiñ luTeroñ se bhī vāqif aur rahbar-āshnā

chashm-e-zahir-bin ko har ek pesh-manzar aashna
mil nahin sakta tujhe ab mujh se behtar aashna

zarf tera mujh pe raushan ho gaya hai is tarah
jis tarah qatre se hota hai samundar aashna

TuTna taqdir us ki toDna us ka KHamir
ghair mumkin hai na ho shishe se patthar aashna

har tarah ke phul hain dil ki zamin par dekhiye
kis tarah kah dun nahin sine se KHanjar aashna

main ne chaTTanon pe gul-buTe tarashe hain bahut
aap ki nazren bhi hotin kash manzar-ashna

jaanta hun kaun kya hai aap kyun den mashwara
main luTeron se bhi waqif aur rahbar-ashna


Source: Rooh-e-Ghazal,Pachas Sala Intekhab

Leave a comment

+