Subscribe to our newsletter and get our newest updates

Abbas Ali Khan Bekhud

  • Ghazal


ghairon ke sath baiThe hain is anjuman mein hum


ġhairoñ ke saath baiThe haiñ is anjuman meñ ham
kāñToñ se vāsta hai magar haiñ chaman meñ ham

samjho na daaġh dāman-e-dil meñ ye phuul haiñ
ab haiñ qafas-nasīb kabhī the chaman meñ ham

rusvā na zaḳhm-e-tīr-enazar ho ye ḳhauf hai
hāthoñ se dil chhupā.e hue haiñ kafan meñ ham

vo husn thā ki husn-e-nazar thā ḳhabar nahīñ
kuchh dekhte rahe haiñ tirī anjuman meñ ham

jaage haiñ ḳhvāb se bhī to aalam hai ḳhvāb kā
ḳhushbū sī pā rahe haiñ tire pairahan meñ ham

thī aarzū chaman kī aur ab dil qafas meñ hai
ik ajnabī se aa.e hue haiñ vatan meñ ham

chāhā durust chaah jatānā ġhalat huā
sīdhī thī raah kho.e ga.e bāñkpan meñ ham

dekheñge jalva-e-chaman-ārā chaman meñ ham
zauq-e-nazar se chaak kareñge hijāb-e-gul

'beḳhud' ḳhudā kā shukr butoñ kī nazar paḌī
varna ga.e the gardish-e-charḳh-e-kuhan meñ ham

ghairon ke sath baiThe hain is anjuman mein hum
kanTon se wasta hai magar hain chaman mein hum

samjho na dagh daman-e-dil mein ye phul hain
ab hain qafas-nasib kabhi the chaman mein hum

ruswa na zaKHm-e-tir-enazar ho ye KHauf hai
hathon se dil chhupae hue hain kafan mein hum

wo husn tha ki husn-e-nazar tha KHabar nahin
kuchh dekhte rahe hain teri anjuman mein hum

jage hain KHwab se bhi to aalam hai KHwab ka
KHushbu si pa rahe hain tere pairahan mein hum

thi aarzu chaman ki aur ab dil qafas mein hai
ek ajnabi se aae hue hain watan mein hum

chaha durust chah jatana ghalat hua
sidhi thi rah khoe gae bankpan mein hum

dekhenge jalwa-e-chaman-ara chaman mein hum
zauq-e-nazar se chaak karenge hijab-e-gul

'beKHud' KHuda ka shukr buton ki nazar paDi
warna gae the gardish-e-charKH-e-kuhan mein hum


Leave a comment

+