Subscribe to our newsletter and get our newest updates

Abbas Ali Khan Bekhud

  • Ghazal


abas hai pesh-e-arbab-e-suKHan azm-e-suKHan mujhko


abas hai pesh-e-arbāb-e-suḳhan azm-e-suḳhan mujh ko
vafā kahne na degī qissa-e-rañj-o-mehan mujh ko

qafas meñ mil gayā hai in dinoñ kuchh lutf hī aisā
ki bhūle se nahīñ aatī kabhī yād-e-chaman mujh ko

ḳhizāñ kī āfateñ phirtī haiñ ab tak merī nazroñ meñ
bahār-e-chañd-roza kyā dikhātā hai chaman mujh ko

but-e-tarrār se jab shikva-e-bedād kartā huuñ
sunātā hai vo zālim sar-guzasht-e-kohkan mujh ko

vo hañs kar dekh lete haiñ jo kūche se guzartā huuñ
mubārakbād 'beḳhud' merā ye dīvāna-pan mujh ko

abas hai pesh-e-arbab-e-suKHan azm-e-suKHan mujh ko
wafa kahne na degi qissa-e-ranj-o-mehan mujh ko

qafas mein mil gaya hai in dinon kuchh lutf hi aisa
ki bhule se nahin aati kabhi yaad-e-chaman mujh ko

KHizan ki aafaten phirti hain ab tak meri nazron mein
bahaar-e-chand-roza kya dikhata hai chaman mujh ko

but-e-tarrar se jab shikwa-e-bedad karta hun
sunata hai wo zalim sar-guzasht-e-kohkan mujh ko

wo hans kar dekh lete hain jo kuche se guzarta hun
mubarakbaad 'beKHud' mera ye diwana-pan mujh ko


Leave a comment

+