ho sitam kaisā bhī ab hālāt kī shamshīr kā
vaqt badlegā kisī din ruḳh mirī tasvīr kā
jān-levā hai tumhārā be-niyāzī kā chalan
hashr dekhe hī banegā ab dil-e-dil-gīr kā
baiThtī hai kaun sī karvaT ye baazī ishq kī
gardishoñ ke haath meñ hai faisla taqdīr kā
kaun bāñdhegā mirī bikhrī huī ummīd ko
khul rahā hai ab to har halqa mirī zanjīr kā
lutf lete ho kamāñ se chhoḌ kar jis ko ab aap
kaash koī mujh se pūchhe kyā huā us tiir kā
reḳhta se ishq 'āzim'? vo bhī aise daur meñ
dekhnā kyā haal hotā hai tirī tahrīr kā
ho sitam kaisa bhi ab haalat ki shamshir ka
waqt badlega kisi din ruKH meri taswir ka
jaan-lewa hai tumhaara be-niyazi ka chalan
hashr dekhe hi banega ab dil-e-dil-gir ka
baiThti hai kaun si karwaT ye bazi ishq ki
gardishon ke hath mein hai faisla taqdir ka
kaun bandhega meri bikhri hui ummid ko
khul raha hai ab to har halqa meri zanjir ka
lutf lete ho kaman se chhoD kar jis ko ab aap
kash koi mujh se puchhe kya hua us tir ka
reKHta se ishq 'azim'? wo bhi aise daur mein
dekhna kya haal hota hai teri tahrir ka
Videos
This video is playing from YouTube
Videos
This video is playing from YouTube
Aazim Kohli
Source: Book : Aaghaz (Pg. 80) Author : Aazim Gurvinder Singh Kohli Publication : Aazim Gurvinder Singh Kohli, 3/78 Punjabi Bagh,New Delhi-110026 (1998) Edition : 1998 Book : Aaghaz (Pg. 80) Author : Aazim Gurvinder Singh Kohli Publication : Aazim Gurvinder Singh Kohli, 3/78 Punjabi Bagh,New Delhi-110026 (1998) Edition : 1998
Leave a comment