Subscribe to our newsletter and get our newest updates

Waliullah Muhib

  • Ghazal


jo mariz ishq ke hain un ko shifa hai ki nahin


jo marīz ishq ke haiñ un ko shifā hai ki nahīñ
ai tabīb un kī bhī duniyā meñ davā hai ki nahīñ

ḳhūb-rū jitne haiñ aalam meñ jafākār haiñ sab
yaad kyā jāneñ unheñ taur-e-vafā hai ki nahīñ

tañg itnā hai zamāna ki chaman meñ gul tak
sub.h-dam chāk-garebāñ hī sabā hai ki nahīñ

mirī be-tābī ke ahvāl ko shab ke us se
nāma-bar tū ne zabānī bhī kahā hai ki nahīñ

zulm hai ye to ki dil lījiye aur rahiye ḳhafā
kahīñ insāf zamāne meñ rahā hai ki nahīñ

shaiḳh kahte haiñ mujhe dair na jā ka.aba chal
barhaman kahte haiñ kyuuñ yaañ bhī ḳhudā hai ki nahīñ

apne yāroñ meñ koī jā ke adam se na phirā
kyuuñ 'muhib' un kī ḳhabar laanī bajā hai ki nahīñ

jo mariz ishq ke hain un ko shifa hai ki nahin
ai tabib un ki bhi duniya mein dawa hai ki nahin

KHub-ru jitne hain aalam mein jafakar hain sab
yaad kya jaanen unhen taur-e-wafa hai ki nahin

tang itna hai zamana ki chaman mein gul tak
subh-dam chaak-gareban hi saba hai ki nahin

meri be-tabi ke ahwal ko shab ke us se
nama-bar tu ne zabani bhi kaha hai ki nahin

zulm hai ye to ki dil lijiye aur rahiye KHafa
kahin insaf zamane mein raha hai ki nahin

shaiKH kahte hain mujhe dair na ja kaba chal
barhaman kahte hain kyun yan bhi KHuda hai ki nahin

apne yaron mein koi ja ke adam se na phira
kyun 'muhib' un ki KHabar lani baja hai ki nahin


Source: Deewan-e-Waleeullah Muhib

Leave a comment

+