Subscribe to our newsletter and get our newest updates

Aazim Kohli

  • Ghazal


KHak se the KHak se hi ho gae


ḳhaak se the ḳhaak se hī ho ga.e
āsmāñ ko oḌh kar ham so ga.e

zindagī likh dī ḳhudā ne ret par
ham samundar ban ke is ko dho ga.e

kis liye ajdād ko ilzām deñ
un se jo bhī ban paḌā vo bo ga.e

justujū thī āsmānoñ kī jinheñ
vo zamīñ kī god meñ gum ho ga.e

kaun pūchhe ik musāfir ko jahāñ
kārvāñ ke kārvāñ hī kho ga.e

KHak se the KHak se hi ho gae
aasman ko oDh kar hum so gae

zindagi likh di KHuda ne ret par
hum samundar ban ke is ko dho gae

kis liye ajdad ko ilzam den
un se jo bhi ban paDa wo bo gae

justuju thi aasmanon ki jinhen
wo zamin ki god mein gum ho gae

kaun puchhe ek musafir ko jahan
karwan ke karwan hi kho gae


Source: Book : Aaghaz (Pg. 9) Author : Aazim Gurvinder Singh Kohli Publication : Aazim Gurvinder Singh Kohli, 3/78 Punjabi Bagh,New Delhi-110026 (january 1998) Edition : january 1998

Leave a comment

+