Subscribe to our newsletter and get our newest updates

Aatish Indori

  • Ghazal


dil mein hai kya azab kahe to pata chale


dil meñ hai kyā azaab kahe to pata chale
dīvār ḳhāmoshī kī Dhahe to pata chale

sab kuchh hī bāñTne ko chalī aatī kyuuñ nadī
us kī tarah se koī bahe to pata chale

beTe tū jāntā nahīñ hai maañ kī ahmiyat
maañ kī tarah tū dard sahe to pata chale

kaise batā.e koī jiyo kaise zindagī
tū panchhiyoñ ke saath rahe to pata chale

piine ko paanī bhī na ho roTī kī baat kyā
netā-jī bhuuk tū yuuñ sahe to pata chale

dil mein hai kya azab kahe to pata chale
diwar KHamoshi ki Dhahe to pata chale

sab kuchh hi banTne ko chali aati kyun nadi
us ki tarah se koi bahe to pata chale

beTe tu jaanta nahin hai man ki ahmiyat
man ki tarah tu dard sahe to pata chale

kaise batae koi jiyo kaise zindagi
tu panchhiyon ke sath rahe to pata chale

pine ko pani bhi na ho roTi ki baat kya
neta-ji bhuk tu yun sahe to pata chale


Leave a comment

+