Subscribe to our newsletter and get our newest updates

Aatish Indori

  • Ghazal


dard se dil ne wasta rakkha


dard se dil ne vāsta rakkhā
vaqt badlegā hausla rakkhā

ro diye mere haal pe panchhī
chugne jab sirf bājrā rakkhā

maiñ parinda banā huuñ jab se tū
sarhadoñ se na vāsta rakkhā

dhoka aksar mile hai apnoñ se
apnoñ se thoḌā fāsla rakkhā

taaki nikleñ nahīñ mire aañsū
dard sahne kā silsila rakkhā

mandiroñ masjidoñ meñ DhūñDhe kaun
is liye dil meñ ik ḳhudā rakkhā

toḌ dete jo hausla 'ātish'
un ḳhayāloñ se fāsla rakkhā

dard se dil ne wasta rakkha
waqt badlega hausla rakkha

ro diye mere haal pe panchhi
chugne jab sirf bajra rakkha

main parinda bana hun jab se tu
sarhadon se na wasta rakkha

dhoka aksar mile hai apnon se
apnon se thoDa fasla rakkha

taki niklen nahin mere aansu
dard sahne ka silsila rakkha

mandiron masjidon mein DhunDhe kaun
is liye dil mein ek KHuda rakkha

toD dete jo hausla 'atish'
un KHayalon se fasla rakkha


Leave a comment

+