intihā hone se pahle soch le
bevafā hone se pahle soch le
bandagī mujh ko to raas aa jā.egī
tū ḳhudā hone se pahle soch le
kāsa-e-himmat na ḳhālī ho kabhī
tū gadā hone se pahle soch le
ye mohabbat umr bhar kā rog hai
mubtalā hone se pahle soch le
bach rahe kuchh tere mere darmiyāñ
fāsla hone se pahle soch le
zindagī ik saaz hai lekin 'kañval'
be-sadā hone se pahle soch le
intiha hone se pahle soch le
bewafa hone se pahle soch le
bandagi mujh ko to ras aa jaegi
tu KHuda hone se pahle soch le
kasa-e-himmat na KHali ho kabhi
tu gada hone se pahle soch le
ye mohabbat umr bhar ka rog hai
mubtala hone se pahle soch le
bach rahe kuchh tere mere darmiyan
fasla hone se pahle soch le
zindagi ek saz hai lekin 'kanwal'
be-sada hone se pahle soch le
Source: Book : Mujalla Dastavez (Pg. 663) Author : Aziz Nabeel Publication : Edarah Dastavez (2013-14) Edition : 2013-14
Leave a comment