ġham ko sabāt hai na ḳhushī ko qarār hai
jo kal thā ḳhanda-rez vo aaj ashk-bār hai
kahtī hai os phuul se o be-ḳhud-e-nashāt
rū-e-ḳhizāñ bhī zer-e-hijāb-e-bahār hai
jab tak jalī jalā kī havā aa.ī bujh ga.ī
ye zindagī bhī sham-e-sar-e-rah-guzār hai
jis kā nafas kī āmad-o-shud par madār ho
aisī hayāt kā bhī koī e.atibār hai
ik maiñ hī bad-nasīb huuñ mahrūm-e-imbisāt
duniyā ke lab pe zikr bahāroñ kā rahe
apnī bahār vaqf-e-ḳhizāñ ho chukī to ho
har-sū jo shor-e-āmad-e-fasl-e-bahār hai
'āsī' tarab-kada thā kabhī ye dil-e-hazīñ
ai vaa.e aaj hasrat-o-ġham kā mazār hai
gham ko sabaat hai na KHushi ko qarar hai
jo kal tha KHanda-rez wo aaj ashk-bar hai
kahti hai os phul se o be-KHud-e-nashat
ru-e-KHizan bhi zer-e-hijab-e-bahaar hai
jab tak jali jala ki hawa aai bujh gai
ye zindagi bhi sham-e-sar-e-rah-guzar hai
jis ka nafas ki aamad-o-shud par madar ho
aisi hayat ka bhi koi eatibar hai
ek main hi bad-nasib hun mahrum-e-imbisat
duniya ke lab pe zikr bahaaron ka rahe
apni bahaar waqf-e-KHizan ho chuki to ho
har-su jo shor-e-amad-e-fasl-e-bahaar hai
'asi' tarab-kada tha kabhi ye dil-e-hazin
ai wae aaj hasrat-o-gham ka mazar hai
Source: Book : Harf Harf Khowab (Pg. 77) Author : asi ramnagari Publication : Nasim Pathara Po. Moghalsarai (Varansi) (1992) Edition : 1992
Leave a comment