Subscribe to our newsletter and get our newest updates

Aasi Ramnagri

  • Ghazal


manzil pe le ke pahunchega azm-e-jawan mujhe


manzil pe le ke pahuñchegā azm-e-javāñ mujhe
kah do na saath le ke chale kārvāñ mujhe

suntā huuñ phir chaman meñ huī ḳhema-zan bahār
aa.e na kyuuñ qafas meñ bhī yaad āshiyāñ mujhe

khoyā huā huuñ un ke tasavvur meñ is tarah
jaise sunā.e un kī koī dāstāñ mujhe

ye jab bhī aa.ī laa.ī naved-e-bahār bhī
phir kyuuñ bahār se na ho pyārī ḳhizāñ mujhe

maiñ ho gayā huuñ kab se nasheman se be-niyāz
kah de koī Darā.e na barq-e-tapāñ mujhe

ik vaqt thā chaman ke liye mar miTe the ham
rahne usī chaman meñ na de bāġhbāñ mujhe

manzil pe le ke pahunchega azm-e-jawan mujhe
kah do na sath le ke chale karwan mujhe

sunta hun phir chaman mein hui KHema-zan bahaar
aae na kyun qafas mein bhi yaad aashiyan mujhe

khoya hua hun un ke tasawwur mein is tarah
jaise sunae un ki koi dastan mujhe

ye jab bhi aai lai nawed-e-bahaar bhi
phir kyun bahaar se na ho pyari KHizan mujhe

main ho gaya hun kab se nasheman se be-niyaz
kah de koi Darae na barq-e-tapan mujhe

ek waqt tha chaman ke liye mar miTe the hum
rahne usi chaman mein na de baghban mujhe


Source: Book : Harf Harf Khowab (Pg. 37) Author : asi ramnagari Publication : Nasim Pathara Po. Moghalsarai (Varansi) (1992) Edition : 1992

Leave a comment

+