maiñ vo majnūñ huuñ ki ābād na ujḌā samjhūñ
musht-e-ḳhāk apnī uḌā kar use sahrā samjhūñ
is qadar mahv huuñ in shola-ruḳhoñ kā juuñ sham.a
ki na jalne ko pahchānūñ na tamāshā samjhūñ
chashmak-e-yār haiñ mujh sham.a ke haq meñ gul-gīr
dam ye qaiñchī ke maiñ anfās-e-masīhā samjhūñ
gardish-e-chashm-e-sajan le gayā ḳhātir se ġhubār
us ko dasht-e-dil-e-'uzlat' kā bagūlā samjhūñ
main wo majnun hun ki aabaad na ujDa samjhun
musht-e-KHak apni uDa kar use sahra samjhun
is qadar mahw hun in shola-ruKHon ka jun shama
ki na jalne ko pahchanun na tamasha samjhun
chashmak-e-yar hain mujh shama ke haq mein gul-gir
dam ye qainchi ke main anfas-e-masiha samjhun
gardish-e-chashm-e-sajan le gaya KHatir se ghubar
us ko dasht-e-dil-e-'uzlat' ka bagula samjhun
Leave a comment