Subscribe to our newsletter and get our newest updates

Aasi Faiqi

  • Ghazal


tere gham-KHwar ka mamul KHuda hi jaane


tere ġham-ḳhvār kā ma.amūl ḳhudā hī jaane
kis qadar rahtā hai mashġhūl ḳhudā hī jaane

ham ne ulfat kā sabaq sīkhā hai dīvānoñ se
us kā bā-qā.edā schōl ḳhudā hī jaane

jubba-sā.ī dar-e-jānāñ pe kiyā kartā huuñ
kis liye kyoñ mirā ma.amūl ḳhudā hī jaane

ujḌe gulshan meñ mire dil ke bahāreñ aa.eñ
dāġh-e-dil ban ga.e kyoñ phuul ḳhudā hī jaane

āj-kal ham se vo ḳhā.if haiñ ḳhilāf-e-ādat
jaane kyā ham se huī bhuul ḳhudā hī jaane

dekhte dekhte 'āsī' ne hidāyat pā lī
kis tarah ho gayā maqbūl ḳhudā hī jaane

tere gham-KHwar ka mamul KHuda hi jaane
kis qadar rahta hai mashghul KHuda hi jaane

hum ne ulfat ka sabaq sikha hai diwanon se
us ka ba-qaeda school KHuda hi jaane

jubba-sai dar-e-jaanan pe kiya karta hun
kis liye kyon mera mamul KHuda hi jaane

ujDe gulshan mein mere dil ke bahaaren aaen
dagh-e-dil ban gae kyon phul KHuda hi jaane

aaj-kal hum se wo KHaif hain KHilaf-e-adat
jaane kya hum se hui bhul KHuda hi jaane

dekhte dekhte 'asi' ne hidayat pa li
kis tarah ho gaya maqbul KHuda hi jaane


Source:

Leave a comment

+