Subscribe to our newsletter and get our newest updates

Aashufta Changezi

  • Ghazal


hamare bare mein kya kya na kuchh kaha hoga


hamāre baare meñ kyā kyā na kuchh kahā hogā
chaleñge saath to duniyā kā sāmnā hogā

vo ek shaḳhs jo patthar uThā ke dauḌā thā
zarūr ḳhvāb kī kaḌiyāñ milā rahā hogā

hamāre baad ik aisā bhī daur aa.egā
vo ajnabī hī rahegā jo tīsrā hogā

ḳhizāñ-pasand hameñ DhūñDne ko nikle haiñ
hamāre dard kā qissa kahīñ sunā hogā

jo har qadam pe mire saath saath rahtā thā
zarūr koī na koī to vāstā hogā

nahīñ hai ḳhauf koī rahbaroñ se 'āshufta'
hamāre saath shikastoñ kā qāfilā hogā

hamare bare mein kya kya na kuchh kaha hoga
chalenge sath to duniya ka samna hoga

wo ek shaKHs jo patthar uTha ke dauDa tha
zarur KHwab ki kaDiyan mila raha hoga

hamare baad ek aisa bhi daur aaega
wo ajnabi hi rahega jo tisra hoga

KHizan-pasand hamein DhunDne ko nikle hain
hamare dard ka qissa kahin suna hoga

jo har qadam pe mere sath sath rahta tha
zarur koi na koi to wasta hoga

nahin hai KHauf koi rahbaron se 'ashufta'
hamare sath shikaston ka qafila hoga


Leave a comment

+