ye bhī nahīñ bīmār na the
itne junūñ-āsār na the
logoñ kā kyā zikr kareñ
ham bhī kam ayyār na the
ghar meñ aur bahut kuchh thā
sirf dar-o-dīvār na the
terī ḳhabar mil jaatī thī
shahr meñ jab aḳhbār na the
pahle bhī sab biktā thā
ḳhvāboñ ke bāzār na the
sab par hañsnā sheva thā
jab tak ḳhud us paar na the
maut kī bāteñ pyārī thiiñ
marne ko tayyār na the
ye bhi nahin bimar na the
itne junun-asar na the
logon ka kya zikr karen
hum bhi kam ayyar na the
ghar mein aur bahut kuchh tha
sirf dar-o-diwar na the
teri KHabar mil jati thi
shahr mein jab aKHbar na the
pahle bhi sab bikta tha
KHwabon ke bazar na the
sab par hansna shewa tha
jab tak KHud us par na the
maut ki baaten pyari thin
marne ko tayyar na the
Leave a comment