itnā kyuuñ sharmāte haiñ
vaade āḳhir vaade haiñ
likhā likhāyā dho Daalā
saare varaq phir saade haiñ
tujh ko bhī kyuuñ yaad rakhā
soch ke ab pachhtāte haiñ
ret mahal do chaar bache
ye bhī girne vaale haiñ
jaa.eñ kahīñ bhī tujh ko kyā
shahr se tere jaate haiñ
ghar ke andar jaane ke
aur ka.ī darvāze haiñ
uñglī pakaḌ ke saath chale
dauḌ meñ ham se aage haiñ
itna kyun sharmate hain
wade aaKHir wade hain
likha likhaya dho Dala
sare waraq phir sade hain
tujh ko bhi kyun yaad rakha
soch ke ab pachhtate hain
ret mahal do chaar bache
ye bhi girne wale hain
jaen kahin bhi tujh ko kya
shahr se tere jate hain
ghar ke andar jaane ke
aur kai darwaze hain
ungli pakaD ke sath chale
dauD mein hum se aage hain
Leave a comment