Subscribe to our newsletter and get our newest updates

Aashufta Changezi

  • Ghazal


guzar gae hain jo mausam kabhi na aaenge


guzar ga.e haiñ jo mausam kabhī na ā.eñge
tamām dariyā kisī roz Duub jā.eñge

safar to pahle bhī kitne kiye magar is baar
ye lag rahā hai ki tujh ko bhī bhuul jā.eñge

alaav ThanDe haiñ logoñ ne jāgnā chhoḌā
kahānī saath hai lekin kise sunā.eñge

sunā hai aage kahīñ samteñ bāñTī jaatī haiñ
tum apnī raah chuno saath chal na pā.eñge

duā.eñ loriyāñ maaoñ ke paas chhoḌ aa.e
bas ek niiñd bachī hai ḳharīd lā.eñge

zarūr tujh sā bhī hogā koī zamāne meñ
kahāñ talak tirī yādoñ se jī lagā.eñge

guzar gae hain jo mausam kabhi na aaenge
tamam dariya kisi roz Dub jaenge

safar to pahle bhi kitne kiye magar is bar
ye lag raha hai ki tujh ko bhi bhul jaenge

alaw ThanDe hain logon ne jagna chhoDa
kahani sath hai lekin kise sunaenge

suna hai aage kahin samten banTi jati hain
tum apni rah chuno sath chal na paenge

duaen loriyan maon ke pas chhoD aae
bas ek nind bachi hai KHarid laenge

zarur tujh sa bhi hoga koi zamane mein
kahan talak teri yaadon se ji lagaenge

RECITATIONS Nomaan Shauque



00:00/00:00 guzar gae hain jo mausam kabhi na aaenge Nomaan Shauque

Leave a comment

+