ḳhud se maiñ be-yaqīñ huā hī nahīñ
āsmāñ thā zamīñ huā hī nahīñ
ishq kahte haiñ sab jise ham se
vo gunāh-e-hasīñ huā hī nahīñ
vasl bhī us kā us ke jaisā thā
jo gumāñ se yaqīñ huā hī nahīñ
ḳhāna-e-dil sarā kī sūrat hai
koī is meñ makīñ huā hī nahīñ
laakh chāhā magar suḳhan merā
qābil-e-āfrīñ huā hī nahīñ
maiñ bhī ḳhud ko sañvārtā 'mohsin'
aa.ina nukta-chīñ huā hī nahīñ
KHud se main be-yaqin hua hi nahin
aasman tha zamin hua hi nahin
ishq kahte hain sab jise hum se
wo gunah-e-hasin hua hi nahin
wasl bhi us ka us ke jaisa tha
jo guman se yaqin hua hi nahin
KHana-e-dil sara ki surat hai
koi is mein makin hua hi nahin
lakh chaha magar suKHan mera
qabil-e-afrin hua hi nahin
main bhi KHud ko sanwarta 'mohsin'
aaina nukta-chin hua hi nahin
Leave a comment