Subscribe to our newsletter and get our newest updates

Aas Fatmi

  • Ghazal


main hun hairan ye silsila kya hai


maiñ huuñ hairāñ ye silsila kyā hai
aa.ina mujh meñ DhūñDhtā kyā hai

ḳhud se betāb huuñ nikalne ko
koī batlā.e rāsta kyā hai

maiñ habāboñ ko dekh kar samjhā
ibtidā kyā hai intihā kyā hai

maiñ huuñ yakjā to phir mire andar
ek muddat se TūTtā kyā hai

ḳhud hī tanhā.iyoñ meñ chillā.ūñ
ḳhud hī sochūñ ye shor sā kyā hai

jaane kab kyā junūñ meñ kar jā.ūñ
maiñ to dīvāna huuñ mirā kyā hai

main hun hairan ye silsila kya hai
aaina mujh mein DhunDhta kya hai

KHud se betab hun nikalne ko
koi batlae rasta kya hai

main hababon ko dekh kar samjha
ibtida kya hai intiha kya hai

main hun yakja to phir mere andar
ek muddat se TuTta kya hai

KHud hi tanhaiyon mein chillaun
KHud hi sochun ye shor sa kya hai

jaane kab kya junun mein kar jaun
main to diwana hun mera kya hai


Leave a comment

+