araq jab us parī ke chehra-e-pur-nūr se Tapke
ḳhajil ho gul se shabnam juuñ lahū nāsūr se Tapke
mirī āñkhoñ se ḳhūnīñ ashk yuuñ girte haiñ palkoñ par
lahū suulī ke uupar juuñ sar-e-mansūr se Tapke
agar kaif-e-suḳhan merā nihāl-e-tāk ko pahuñche
surāhī shāḳh ban jaave sharāb añgūr se Tapke
agar us zulf-mushk-āmez se chunnī meñ baal aave
ajab maiñ itr-o-ambar kāsa-e-naġhfūr se Tapke
karūñ fariyād ro ro yaar ko jab yaad kar 'ājiz'
dam isrāfīl kā lohū ho bāñg-e-sūr se Tapke
araq jab us pari ke chehra-e-pur-nur se Tapke
KHajil ho gul se shabnam jun lahu nasur se Tapke
meri aankhon se KHunin ashk yun girte hain palkon par
lahu suli ke upar jun sar-e-mansur se Tapke
agar kaif-e-suKHan mera nihaal-e-tak ko pahunche
surahi shaKH ban jawe sharab angur se Tapke
agar us zulf-mushk-amez se chunni mein baal aawe
ajab main itr-o-ambar kasa-e-naghfur se Tapke
karun fariyaad ro ro yar ko jab yaad kar 'ajiz'
dam israfil ka lohu ho bang-e-sur se Tapke
Source: Book : Noquush (Pg. B-411 E421) Publication : Nuqoosh Press Lahore (May June 1954) Edition : May June 1954
Leave a comment