Subscribe to our newsletter and get our newest updates

Aanis Moin

  • Ghazal


ye qarz to mera hai chukaega koi aur


ye qarz to merā hai chukā.egā koī aur
dukh mujh ko hai aur niir bahā.egā koī aur

kyā phir yūñhī dī jā.egī ujrat pe gavāhī
kyā terī sazā ab ke bhī pā.egā koī aur

anjām ko pahuñchūñgā maiñ anjām se pahle
ḳhud merī kahānī bhī sunā.egā koī aur

tab hogī ḳhabar kitnī hai raftār-e-taġhayyur
jab shaam Dhale lauT ke aa.egā koī aur

ummīd-e-sahar bhī to virāsat meñ hai shāmil
shāyad ki diyā ab ke jalā.egā koī aur

kab bār-e-tabassum mire hoñToñ se uThegā
ye bojh bhī lagtā hai uThā.egā koī aur

is baar huuñ dushman kī rasā.ī se bahut duur
is baar magar zaḳhm lagā.egā koī aur

shāmil pas-e-parda bhī haiñ is khel meñ kuchh log
bolegā koī hoñT hilā.egā koī aur

ye qarz to mera hai chukaega koi aur
dukh mujh ko hai aur nir bahaega koi aur

kya phir yunhi di jaegi ujrat pe gawahi
kya teri saza ab ke bhi paega koi aur

anjam ko pahunchunga main anjam se pahle
KHud meri kahani bhi sunaega koi aur

tab hogi KHabar kitni hai raftar-e-taghayyur
jab sham Dhale lauT ke aaega koi aur

ummid-e-sahar bhi to wirasat mein hai shamil
shayad ki diya ab ke jalaega koi aur

kab bar-e-tabassum mere honTon se uThega
ye bojh bhi lagta hai uThaega koi aur

is bar hun dushman ki rasai se bahut dur
is bar magar zaKHm lagaega koi aur

shamil pas-e-parda bhi hain is khel mein kuchh log
bolega koi honT hilaega koi aur

RECITATIONS Nomaan Shauque



00:00/00:00 ye qarz to mera hai chukaega koi aur Nomaan Shauque

Source: Book : Muallim-e-urdu(Lucknow) (Pg. 32) Author : Izhar Ahmad Publication : Published by Izhar ahmad Editor,and publisher at the Shagufta printers Lucknow & Distributed simmam Publication 499/129 Hasanganj lucknow-226020 (February-1992) Edition : February-1992

Leave a comment

+