har shai ānī-jānī hai
jīvan bahtā paanī hai
hijr kī rāteñ vasl ke din
ik dilchasp kahānī hai
husn hai faanī ishq mirā
an-miT hai lā-fānī hai
jo nā-ahl hai un hāthoñ meñ
phūloñ kī nigarānī hai
rahte ek galī meñ haiñ
donoñ ko hairānī hai
sab chalte haiñ Dagar Dagar
ek Dagar an-jānī hai
apnā hai phir apnā lahū
paanī āḳhir paanī hai
'anjum' terī ġhazloñ meñ
sachche pyaar kī baanī hai
har shai aani-jaani hai
jiwan bahta pani hai
hijr ki raaten wasl ke din
ek dilchasp kahani hai
husn hai fani ishq mera
an-miT hai la-fani hai
jo na-ahl hai un hathon mein
phulon ki nigarani hai
rahte ek gali mein hain
donon ko hairani hai
sab chalte hain Dagar Dagar
ek Dagar an-jaani hai
apna hai phir apna lahu
pani aaKHir pani hai
'anjum' teri ghazlon mein
sachche pyar ki bani hai
Source: Patta Patta
Leave a comment