siskiyoñ hichkiyoñ aahoñ kī farāvānī meñ
uljhaneñ kitnī haiñ is ishq kī āsānī meñ
ye tire bāloñ kā tālāb kī tah ko chhūnā
hālat-e-ḳhvāb meñ yā ālam-e-uryānī meñ
be-hijābāna kisī lahr kā tujh tak aana
phir tire jism kā bah jaanā ghane paanī meñ
kahkashāoñ kā ġhazāloñ kā ġhazal-zādoñ kā
dūr-o-nazdīk se aanā tirī mehmānī meñ
raat kā jhuknā tirī pusht pe dildārī ko
baaġh ke peḌoñ kā aa jaanā rajaz-ḳhvānī meñ
bām-o-dar dekhte jaate haiñ khaḌe sakte meñ
ik sitāre kā tavārud tirī peshānī meñ
marmarīñ uñgliyāñ ik dil pe likheñ hāl-e-hinā
phuul āvāz kā khil jaa.e pashemānī meñ
chāñd maḳhrūtī ubhāroñ pe shuā.eñ pheñke
is qadar mahv tujhe dekh ke hairānī meñ
sāya-e-sābit-o-sayyār ke haale meñ chalūñ
aur jahānoñ meñ rahūñ terī nigahbānī meñ
siskiyon hichkiyon aahon ki farawani mein
uljhanen kitni hain is ishq ki aasani mein
ye tere baalon ka talab ki tah ko chhuna
haalat-e-KHwab mein ya aalam-e-uryani mein
be-hijabana kisi lahr ka tujh tak aana
phir tere jism ka bah jaana ghane pani mein
kahkashaon ka ghazalon ka ghazal-zadon ka
dur-o-nazdik se aana teri mehmani mein
raat ka jhukna teri pusht pe dildari ko
bagh ke peDon ka aa jaana rajaz-KHwani mein
baam-o-dar dekhte jate hain khaDe sakte mein
ek sitare ka tawarud teri peshani mein
marmarin ungliyan ek dil pe likhen haal-e-hina
phul aawaz ka khil jae pashemani mein
chand maKHruti ubhaaron pe shuaen phenke
is qadar mahw tujhe dekh ke hairani mein
saya-e-sabit-o-sayyar ke haale mein chalun
aur jahanon mein rahun teri nigahbani mein
Source:
Leave a comment