Subscribe to our newsletter and get our newest updates

Aamir Suhail

  • Ghazal


raste mein ajab aasar mile


raste meñ ajab āsār mile
juuñ koī purānā yaar mile

jis tarah kaḌaktī dhūpoñ meñ
do jismoñ ko dīvār mile

jis tarah musāfir gaaḌī meñ
ik rishte kī mahkār mile

jis tarah purāne kapḌoñ se
ik chūḌī ḳhushbū-dār mile

jis tarah añdhere khetoñ meñ
ik rut mash.al-bardār mile

jis tarah koī hañsmukh bālak
jis tarah ġhasīlī naar mile

jis tarah ikahre bhādoñ se
ik paanī kī bauchhār mile

juuñ ik siipī meñ la.al paḌe
juuñ motī dajla paar mile

juuñ ghaav bhare nāsūr sā ik
juuñ sapnoñ ko chahkār mile

jis tarah yatīmī ko 'āmir'
ik bharā-purā sansār mile

raste mein ajab aasar mile
jun koi purana yar mile

jis tarah kaDakti dhupon mein
do jismon ko diwar mile

jis tarah musafir gaDi mein
ek rishte ki mahkar mile

jis tarah purane kapDon se
ek chuDi KHushbu-dar mile

jis tarah andhere kheton mein
ek rut mashal-bardar mile

jis tarah koi hansmukh baalak
jis tarah ghasili nar mile

jis tarah ikahre bhadon se
ek pani ki bauchhaar mile

jun ek sipi mein lal paDe
jun moti dajla par mile

jun ghaw bhare nasur sa ek
jun sapnon ko chahkar mile

jis tarah yatimi ko 'amir'
ek bhara-pura sansar mile


Source:

Leave a comment

+