Subscribe to our newsletter and get our newest updates

Aamir Suhail

  • Ghazal


lahu ragon mein sambhaala nahin gaya mujhse


lahū ragoñ meñ sambhālā nahīñ gayā mujh se
kisī dishā meñ uchhālā nahīñ gayā mujh se

suDaul bāñhoñ meñ bhartā maiñ loch sāvan kā
vo sañg mom meñ Dhālā nahīñ gayā mujh se

maiñ ḳhvāb paḌhtā thā hamsā.egī kī abjad se
magar vo husn ḳhayālā nahīñ gayā mujh se

vahī hai mere lahū meñ chamak ulūhī sī
samay ujālne vaalā nahīñ gayā mujh se

firāq kahtī thiiñ nepālī naddiyāñ 'āmir'
magar shikoh-e-himāla nahīñ gayā mujh se

lahu ragon mein sambhaala nahin gaya mujh se
kisi disha mein uchhaala nahin gaya mujh se

suDaul banhon mein bharta main loch sawan ka
wo sang mom mein Dhaala nahin gaya mujh se

main KHwab paDhta tha hamsaegi ki abjad se
magar wo husn KHayala nahin gaya mujh se

wahi hai mere lahu mein chamak uluhi si
samay ujalne wala nahin gaya mujh se

firaq kahti thin nepali naddiyan 'amir'
magar shikoh-e-himala nahin gaya mujh se


Source:

Leave a comment

+