Subscribe to our newsletter and get our newest updates

Aal-e-Raza Raza

  • Ghazal


jo chahte ho so kahte ho chup rahne ki lazzat kya jaano


jo chāhte ho so kahte ho chup rahne kī lazzat kyā jaano
ye rāz-e-mohabbat hai pyāre tum rāz-e-mohabbat kyā jaano

alfāz kahāñ se lā.ūñ chhāle kī Tapak ko samjhā.ūñ
iz.hār-e-mohabbat karte ho ehsās-e-mohabbat kyā jaano

kyā husn kī bhiik bhī hotī hai jab chuTkī chuTkī juḌtī hai
ham ahl-e-ġharaz jāneñ is ko tum sāhab-e-daulat kyā jaano

hai farq baḌā ai jān-e-'razā' dil dene meñ dil lene meñ
ulfat kā ta.alluq jaan ke bhī rishte kī nazākat kyā jaano

jo chahte ho so kahte ho chup rahne ki lazzat kya jaano
ye raaz-e-mohabbat hai pyare tum raaz-e-mohabbat kya jaano

alfaz kahan se laun chhaale ki Tapak ko samjhaun
izhaar-e-mohabbat karte ho ehsas-e-mohabbat kya jaano

kya husn ki bhik bhi hoti hai jab chuTki chuTki juDti hai
hum ahl-e-gharaz jaanen is ko tum sahab-e-daulat kya jaano

hai farq baDa ai jaan-e-'raza' dil dene mein dil lene mein
ulfat ka talluq jaan ke bhi rishte ki nazakat kya jaano


Source: Book : Junoon (Pg. 205) Author : Naseem Muqri Publication : Naseem Muqri (1990) Edition : 1990

Leave a comment

+