kufr momin hai na karnā dil-barāñ se iḳhtilāt
kar liyā ka.abe ne bhī kai din butāñ se iḳhtilāt
banda us bulbul kā huuñ jo bū-e-gul ke vāste
garm rakkhe haa.e har ḳhār-e-ḳhizāñ se iḳhtilāt
ḳhāksāroñ kī hai ulfat rahravān-e-ishq se
jaise gard-e-rāh kā hai kārvāñ se iḳhtilāt
kyuuñ na hove puḳhta o bar-jasta raushan dil kā sher
duud o sho.ale sā suḳhan ko hai zabāñ se iḳhtilāt
dil-shikan ke vāste dast-e-duā 'uzlat' uThā.e
jaise ġhunche kā nasīm-e-gulsitāñ se iḳhtilāt
kufr momin hai na karna dil-baran se iKHtilat
kar liya kabe ne bhi kai din butan se iKHtilat
banda us bulbul ka hun jo bu-e-gul ke waste
garm rakkhe hae har KHar-e-KHizan se iKHtilat
KHaksaron ki hai ulfat rahrawan-e-ishq se
jaise gard-e-rah ka hai karwan se iKHtilat
kyun na howe puKHta o bar-jasta raushan dil ka sher
dud o shoale sa suKHan ko hai zaban se iKHtilat
dil-shikan ke waste dast-e-dua 'uzlat' uThae
jaise ghunche ka nasim-e-gulsitan se iKHtilat
Leave a comment