Subscribe to our newsletter and get our newest updates

Zahida Zaidi

  • Ghazal


dil-e-fasurda ko ab taqat-e-qarar nahin


dil-e-fasurda ko ab tāqat-e-qarār nahīñ
nigāh-e-shauq ko ab tāb-e-intizār nahīñ

nahīñ nahīñ mujhe bardāsht ab nahīñ kī nahīñ
ḳhudā ke vāste kahnā na ab kī baar nahīñ

hamesha va.ade kiye ab ke mil hī jā aa kar
hayāt-o-va.ada-o-duniyā kā e.atibār nahīñ

dikhātī apnī mohabbat ko chiir kar siina
magar numūd mirā sheva-o-shi.ār nahīñ

mirī bahan mirī mahbūba ye ajab shai hai
jahāñ meñ ḳhaak nahīñ kuchh jo dost-vār nahīñ

dil-e-fasurda ko ab taqat-e-qarar nahin
nigah-e-shauq ko ab tab-e-intizar nahin

nahin nahin mujhe bardasht ab nahin ki nahin
KHuda ke waste kahna na ab ki bar nahin

hamesha wade kiye ab ke mil hi ja aa kar
hayat-o-wada-o-duniya ka eatibar nahin

dikhati apni mohabbat ko chir kar sina
magar numud mera shewa-o-shiar nahin

meri bahan meri mahbuba ye ajab shai hai
jahan mein KHak nahin kuchh jo dost-war nahin


Source: Book : Pathan Shayraat ka Tazkira (Pg. 131) Author : Khan Mohammad Atif Publication : Khan Mohammad Atif (1983) Edition : 1983

Leave a comment

+