Subscribe to our newsletter and get our newest updates

Wali Uzlat

  • Ghazal


mere naza ko mat us se kaho hua so hua


mire naza.a ko mat us se kaho huā so huā
ki dil-dahinda jiyo yā maro huā so huā

jalā diyā jo patañg ab na ro huā so huā
ai sham.a sub.h ko jo ho so ho huā so huā

dil is kuuñ de chukā dīvāngī na chhoḌūñgā
ai tiflo pathroñ se maaro hañso huā so huā

mujhe rulā ke ḳhuuñ aañsū na poñchh ḳhauf ye hai
tū haath mere lahū se na dho huā so huā

bichhā.īñ palkeñ jo maiñ ne na aayā kah bhejā
ab aage raah meñ kāñTe na bo huā so huā

kiyā hai qatl jo 'uzlat' ko ab na ro ai yaar
ki sar pe husn-parastoñ ke jo huā so huā

mere naza ko mat us se kaho hua so hua
ki dil-dahinda jiyo ya maro hua so hua

jala diya jo patang ab na ro hua so hua
ai shama subh ko jo ho so ho hua so hua

dil is kun de chuka diwangi na chhoDunga
ai tiflo pathron se maro hanso hua so hua

mujhe rula ke KHun aansu na ponchh KHauf ye hai
tu hath mere lahu se na dho hua so hua

bichhain palken jo main ne na aaya kah bheja
ab aage rah mein kanTe na bo hua so hua

kiya hai qatl jo 'uzlat' ko ab na ro ai yar
ki sar pe husn-paraston ke jo hua so hua


Leave a comment

+