Subscribe to our newsletter and get our newest updates

Wali Uzlat

  • Ghazal


asiri be-maza lagti hai bin-sayyaad kya kije


asīrī be-maza lagtī hai bin-sayyād kyā kiije
qafas ke kunj meñ tanhā abas fariyād kyā kiije

mirī tamkīñ ga.ī misl-e-jaras barbād kyā kiije
ki maiñ to chup huuñ par kartā hai dil fariyād kyā kiije

asar kartā nahīñ bin sajda-e-taslīm ke naala
ham is misra.a pe ġhair-az-halqa-e-qad saad kyā kiije

kanār-e-be-sutūñ meñ kyuuñ diyā naqsh apne dilbar kā
tabhī farhād duniyā se gayā nāshād kyā kiije

paTaktā sar jo sañg-e-sūrat-e-shīrīñ se behtar thā
abas teshe ke sar ḳhuuñ de gayā farhād kyā kiije

asiri be-maza lagti hai bin-sayyaad kya kije
qafas ke kunj mein tanha abas fariyaad kya kije

meri tamkin gai misl-e-jaras barbaad kya kije
ki main to chup hun par karta hai dil fariyaad kya kije

asar karta nahin bin sajda-e-taslim ke nala
hum is misra pe ghair-az-halqa-e-qad sad kya kije

kanar-e-be-sutun mein kyun diya naqsh apne dilbar ka
tabhi farhad duniya se gaya nashad kya kije

paTakta sar jo sang-e-surat-e-shirin se behtar tha
abas teshe ke sar KHun de gaya farhad kya kije


Leave a comment

+