Subscribe to our newsletter and get our newest updates

Wali Uzlat

  • Ghazal


nang nahin mujhko taDapne se sambhal jaane ka


nañg nahīñ mujh ko taḌapne se sambhal jaane kā
Dar hai is ḳhanjar-e-mizhgāñ ke phisal jaane kā

nabz-e-zanjīr ke hilne se chhuTe hai āshiq
bul-havas kahve huā shauq nikal jaane kā

garche vo rashk-e-chaman mujh se hai bāġhī lekin
ātish-e-gul se hai ḳhauf us ke kumahl jaane kā

talḳh lagtā hai use shahr kī bastī kā svaad
zauq hai jis ko bayābāñ ke nikal jaane kā

juuñ sabā ḳhānqahoñ meñ jo kabhū jaatā huuñ
qasd hai ġhuncha amāmoñ ke kuchal jaane kā

nang nahin mujh ko taDapne se sambhal jaane ka
Dar hai is KHanjar-e-mizhgan ke phisal jaane ka

nabz-e-zanjir ke hilne se chhuTe hai aashiq
bul-hawas kahwe hua shauq nikal jaane ka

garche wo rashk-e-chaman mujh se hai baghi lekin
aatish-e-gul se hai KHauf us ke kumahl jaane ka

talKH lagta hai use shahr ki basti ka swad
zauq hai jis ko bayaban ke nikal jaane ka

jun saba KHanqahon mein jo kabhu jata hun
qasd hai ghuncha amamon ke kuchal jaane ka


Leave a comment

+