Subscribe to our newsletter and get our newest updates

Wali Uzlat

  • Ghazal


dard jun shama mile hai shab-e-hijran mujhko


dard juuñ sham.a mile hai shab-e-hijrāñ mujh ko
khā ga.e ro-ro mire dīda-e-giryāñ mujh ko

nau-bahār aa.ī mubārak hue juuñ ġhuncha-o-gul
ḳhātir-jam.a tujhe hāl-e-pareshāñ mujh ko

gar dam-e-sub.h shahīdān-e-chaman sair karo
teġh-e-qātil hai dam-e-minnat-e-ehsāñ mujh ko

juuñ bagholā hai mujhe ḳhajlat-e-isyāñ dam-e-faḳhr
bāl-e-parvāz hue dast-e-pashemāñ mujh ko

āftāb-e-dil-e-raushan diyā saudā ne mujhe
sub.h-e-hādī huā ye chaak garebāñ mujh ko

dhun meñ is chashm kī ro.uuñ jahāñ nargis aage
sajda karte haiñ bayābāñ meñ ġhazālāñ mujh ko

musht-e-vahdat ho baghole sā karūñ apnā tavāf
gardish-e-sar huā jām-e-mai-e-irfāñ mujh ko

dekh kar gaal tire zulf ke halqe se huī
matl.a-e-sub.h-e-vatan shām-e-ġharībāñ mujh ko

pūchhā qumrī se kisī ne tirā hāzir hai sarv
bol kyuuñ kartī hai kuukū kī to afġhāñ mujh ko

tab kahī sarv DhūñDūñ huuñ maiñ vafādārī meñ
tan meñ rakhtā hai vafā aa ke jilā jaañ mujh ko

zaaġh ko sar pe biThāte haiñ maiñ jal kar huī raakh
dozaḳh is rashk se hai ḳhuld gulistāñ mujh ko

jaam de saaqī nau 'uzlat' ko ki jaatī hai bahār
rove hai fasl-e-gul-o-abr-e-bahārāñ mujh ko

dard jun shama mile hai shab-e-hijran mujh ko
kha gae ro-ro mere dida-e-giryan mujh ko

nau-bahaar aai mubarak hue jun ghuncha-o-gul
KHatir-jama tujhe haal-e-pareshan mujh ko

gar dam-e-subh shahidan-e-chaman sair karo
tegh-e-qatil hai dam-e-minnat-e-ehsan mujh ko

jun baghola hai mujhe KHajlat-e-isyan dam-e-faKHr
baal-e-parwaz hue dast-e-pasheman mujh ko

aaftab-e-dil-e-raushan diya sauda ne mujhe
subh-e-hadi hua ye chaak gareban mujh ko

dhun mein is chashm ki roun jahan nargis aage
sajda karte hain bayaban mein ghazalan mujh ko

musht-e-wahdat ho baghole sa karun apna tawaf
gardish-e-sar hua jam-e-mai-e-irfan mujh ko

dekh kar gal tere zulf ke halqe se hui
matla-e-subh-e-watan sham-e-ghariban mujh ko

puchha qumri se kisi ne tera hazir hai sarw
bol kyun karti hai kuku ki to afghan mujh ko

tab kahi sarw DhunDun hun main wafadari mein
tan mein rakhta hai wafa aa ke jila jaan mujh ko

zagh ko sar pe biThate hain main jal kar hui rakh
dozaKH is rashk se hai KHuld gulistan mujh ko

jam de saqi nau 'uzlat' ko ki jati hai bahaar
rowe hai fasl-e-gul-o-abr-e-bahaaran mujh ko


Leave a comment

+