Subscribe to our newsletter and get our newest updates

Wali Uzlat

  • Ghazal


KHunuk-joshi na karte jun saba gar ye butan humse


ḳhunuk-joshī na karte juuñ sabā gar ye butāñ ham se
to misl-e-ġhuncha-e-gul dil na jaatā rā.egāñ ham se

phire us zulf-o-rū ke ishq meñ donoñ-jahāñ ham se
udhar kuffār phir ga.e sab idhar īmāniyāñ ham se

adū the maalī aur sayyād gulchīñ ne qayāmat kī
ḳhudā la.anat kare tīnoñ pe chhūTā gulistāñ ham se

ujāḌā girya-e-shor-e-junūñ ke vāste ham ko
vale gulshan ko aur āb-o-namak thā bāġhbāñ ham se

hameñ to rāstī joñ tiir hargiz raas aa.ī niiñ
hamesha TeḌhe hī rahte haiñ ye abrū-kamāñ ham se

aqab yāroñ ke sar par ḳhaak karte ham bhī jaate haiñ
rahā jaatā nahīñ joñ gard-e-rāh-e-kārvāñ ham se

hameñ tiflāñ to pattharoñ kī mohabbat se na bhūleñge
chale sahrā ko ham phir ga.e balā se shahriyāñ ham se

hamīñ Tuk zab.h kar le sāya-e-gulbun meñ jiitā rah
chhuḌāyā tū ne gar sayyād gul kā āstāñ ham se

maze meñ dard-e-sar ke kab se mohtāj-e-davā 'uzlat'
abas ai sandalī-rañgo hue ho sargirāñ ham se

KHunuk-joshi na karte jun saba gar ye butan hum se
to misl-e-ghuncha-e-gul dil na jata raegan hum se

phire us zulf-o-ru ke ishq mein donon-jahan hum se
udhar kuffar phir gae sab idhar imaniyan hum se

adu the mali aur sayyaad gulchin ne qayamat ki
KHuda lanat kare tinon pe chhuTa gulistan hum se

ujaDa girya-e-shor-e-junun ke waste hum ko
wale gulshan ko aur aab-o-namak tha baghban hum se

hamein to rasti jon tir hargiz ras aai nin
hamesha TeDhe hi rahte hain ye abru-kaman hum se

aqab yaron ke sar par KHak karte hum bhi jate hain
raha jata nahin jon gard-e-rah-e-karwan hum se

hamein tiflan to pattharon ki mohabbat se na bhulenge
chale sahra ko hum phir gae bala se shahriyan hum se

hamin Tuk zabh kar le saya-e-gulbun mein jita rah
chhuDaya tu ne gar sayyaad gul ka aastan hum se

maze mein dard-e-sar ke kab se mohtaj-e-dawa 'uzlat'
abas ai sandali-rango hue ho sargiran hum se


Leave a comment

+