bū-e-gul raqs meñ hai bād-e-ḳhizāñ raqs meñ hai
ye zamīñ raqs meñ hai saarā jahāñ raqs meñ hai
ruuh sarshār hai aur chashm-e-taḳhayyul bedār
baad muddat ke vahī shola-e-jāñ raqs meñ hai
jal uThe zehn ke aivān meñ lafzoñ ke charāġh
aaj phir garmi-e-andāz-e-bayāñ raqs meñ hai
phir kisī yaad kī kashtī meñ ravāñ haiñ lamhāt
jū-e-dil raqs meñ hai vādi-e-jāñ raqs meñ hai
kitnā jāñ-baḳhsh hai ye ishq kī vaadī kā safar
naġhma-zan tā.ifa-e-lazzat-e-jāñ raqs meñ hai
band āñkhoñ meñ laraztā hai koī manzar-e-nūr
jaise tābinda sitāroñ kā jahāñ raqs meñ hai
mahzar-e-shauq meñ paikār-e-gumāñ se aage
zehn hai naġhma-sarā jazb-e-nihāñ raqs meñ hai
ḳhvāb to ḳhvāb haiñ pal bhar meñ bikhar jaate haiñ
sach to ye hai ki bas ik kāhish-e-jāñ raqs meñ hai
biich sāgar meñ to the hausle maujoñ se buland
aur sāhil pe ik ehsās-e-ziyāñ raqs meñ hai
bu-e-gul raqs mein hai baad-e-KHizan raqs mein hai
ye zamin raqs mein hai sara jahan raqs mein hai
ruh sarshaar hai aur chashm-e-taKHayyul bedar
baad muddat ke wahi shola-e-jaan raqs mein hai
jal uThe zehn ke aiwan mein lafzon ke charagh
aaj phir garmi-e-andaz-e-bayan raqs mein hai
phir kisi yaad ki kashti mein rawan hain lamhat
ju-e-dil raqs mein hai wadi-e-jaan raqs mein hai
kitna jaan-baKHsh hai ye ishq ki wadi ka safar
naghma-zan taifa-e-lazzat-e-jaan raqs mein hai
band aankhon mein larazta hai koi manzar-e-nur
jaise tabinda sitaron ka jahan raqs mein hai
mahzar-e-shauq mein paikar-e-guman se aage
zehn hai naghma-sara jazb-e-nihan raqs mein hai
KHwab to KHwab hain pal bhar mein bikhar jate hain
sach to ye hai ki bas ek kahish-e-jaan raqs mein hai
bich sagar mein to the hausle maujon se buland
aur sahil pe ek ehsas-e-ziyan raqs mein hai
RECITATIONS
Azra Naqvi
00:00/00:00
Bu-e-gul raqs mein hai
Azra Naqvi
Leave a comment