tirī nazar kā tiir jab jigar ke paar ho gayā
ġhazal-parast ban gayā ġhazal se pyaar ho gayā
abhī abhī thī dostī abhī fazā badal ga.ī
kisī ne taan lī kamāñ koī shikār ho gayā
bigāḌnā sañvārnā hai vaqt ke mizāj par
jo Thokaroñ meñ thā vo ab gale kā haar ho gayā
teri nazar ka tir jab jigar ke par ho gaya
ghazal-parast ban gaya ghazal se pyar ho gaya
abhi abhi thi dosti abhi faza badal gai
kisi ne tan li kaman koi shikar ho gaya
bigaDna sanwarna hai waqt ke mizaj par
jo Thokaron mein tha wo ab gale ka haar ho gaya
Leave a comment