jis dilrubā suuñ dil kuuñ mire ittihād hai
dīdār us kā merī añkhāñ kī murād hai
rakhtā hai bar meñ dilbar-e-rañgīñ ḳhayāl kuuñ
mānind ārasī ke jo saaf e'tiqād hai
shāyad ki dām-e-ishq meñ taaza huā hai band
va.ade pe gul-ruḳhāñ ke jise e'timād hai
baaqī rahegā jaur-o-sitam roz-e-hashr lag
tujh zulf kī jafā meñ nipaT imtidād hai
maqsūd-e-dil hai us kā ḳhayāl ai 'valī' mujhe
jyuuñ mujh zabāñ pe nām-e-mohamād murād hai
jis dilruba sun dil kun mere ittihad hai
didar us ka meri ankhan ki murad hai
rakhta hai bar mein dilbar-e-rangin KHayal kun
manind aarasi ke jo saf e'tiqad hai
shayad ki dam-e-ishq mein taza hua hai band
wade pe gul-ruKHan ke jise e'timad hai
baqi rahega jaur-o-sitam roz-e-hashr lag
tujh zulf ki jafa mein nipaT imtidad hai
maqsud-e-dil hai us ka KHayal ai 'wali' mujhe
jyun mujh zaban pe nam-e-mohamad murad hai
Leave a comment