maiñ tujhe aayā huuñ īmāñ buujh kar
bā.is-e-jam.iyyat-e-jāñ buujh kar
bulbul-e-shīrāz kuuñ kartā huuñ yaad
husn kuuñ tere gulistāñ buujh kar
dil chalā hai ishq kā ho jauharī
lab tire la.al-e-badaḳhshāñ buujh kar
har na kartī hai nazāre kī mashaq
ḳhat kuuñ tere ḳhatt-e-raihāñ buujh kar
ai sajan aayā huuñ ho be-iḳhtiyār
tujh kuuñ apnā rāhat-e-jāñ buujh kar
zulf terī kyuuñ na khaa.e pech-o-tāb
haal mujh dil kā pareshāñ buujh kar
rahm kar us par ki aayā hai 'valī'
dard-e-dil kā tujh kuuñ darmāñ buujh kar
main tujhe aaya hun iman bujh kar
bais-e-jamiyyat-e-jaan bujh kar
bulbul-e-shiraaz kun karta hun yaad
husn kun tere gulistan bujh kar
dil chala hai ishq ka ho jauhari
lab tere lal-e-badaKHshan bujh kar
har na karti hai nazare ki mashaq
KHat kun tere KHatt-e-raihan bujh kar
ai sajan aaya hun ho be-iKHtiyar
tujh kun apna rahat-e-jaan bujh kar
zulf teri kyun na khae pech-o-tab
haal mujh dil ka pareshan bujh kar
rahm kar us par ki aaya hai 'wali'
dard-e-dil ka tujh kun darman bujh kar
Source: Kulliyat-e-Wali
Leave a comment