Subscribe to our newsletter and get our newest updates

Wali Mohammad Wali

  • Ghazal


chhupa hun main sada-e-bansuli mein


chhupā huuñ maiñ sadā-e-bāñsulī meñ
ki tā jā.ūñ parī-rū kī galī meñ

na thī tāqat mujhe aane kī lekin
ba-zor-e-āh pahuñchā tujh galī meñ

ayaañ hai rañg kī shoḳhī suuñ ai shoḳh
badan terā qabā-e-sañdalī meñ

jo hai tere dahan meñ rañg o ḳhūbī
kahāñ ye rañg ye ḳhūbī kalī meñ

kiyā jiyūñ lafz meñ ma.anī sirījan
maqām apnā dil-o-jān-e-'valī' meñ

chhupa hun main sada-e-bansuli mein
ki ta jaun pari-ru ki gali mein

na thi taqat mujhe aane ki lekin
ba-zor-e-ah pahuncha tujh gali mein

ayan hai rang ki shoKHi sun ai shoKH
badan tera qaba-e-sandali mein

jo hai tere dahan mein rang o KHubi
kahan ye rang ye KHubi kali mein

kiya jiyun lafz mein mani sirijan
maqam apna dil-o-jaan-e-'wali' mein


Leave a comment

+