Subscribe to our newsletter and get our newest updates

Wali Mohammad Wali

  • Ghazal


aashiq ke mukh pe nain ke pani ko dekh tun


āshiq ke mukh pe nain ke paanī ko dekh tuuñ
is ārasī meñ rāz-e-nihānī kuuñ dekh tuuñ

sun be-qarār dil kī aval āh-e-shola-ḳhez
tab is haraf meñ dil ke ma.ānī kuuñ dekh tuuñ

ḳhūbī suuñ tujh huzūr o shama dam-zanī meñ hai
us be-hayā kī charb-zabānī kuuñ dekh tuuñ

dariyā pe jā ke mauj-e-ravāñ par nazar na kar
añjhuvāñ kī mere aa ke ravānī kuuñ dekh tuuñ

tujh shauq kā jo daaġh 'valī' ke jigar meñ hai
be-tāqatī meñ us kī nishānī kuuñ dekh tuuñ

aashiq ke mukh pe nain ke pani ko dekh tun
is aarasi mein raaz-e-nihani kun dekh tun

sun be-qarar dil ki awal aah-e-shola-KHez
tab is haraf mein dil ke maani kun dekh tun

KHubi sun tujh huzur o shama dam-zani mein hai
us be-haya ki charb-zabani kun dekh tun

dariya pe ja ke mauj-e-rawan par nazar na kar
anjhuwan ki mere aa ke rawani kun dekh tun

tujh shauq ka jo dagh 'wali' ke jigar mein hai
be-taqati mein us ki nishani kun dekh tun


Leave a comment

+