Subscribe to our newsletter and get our newest updates

Wali Mohammad Wali

  • Ghazal


KHub-ru KHub kaam karte hain


ḳhūb-rū ḳhuub kaam karte haiñ
yak nigah meñ ġhulām karte haiñ

dekh ḳhūbāñ kuuñ vaqt milne ke
kis adā suuñ salām karte haiñ

kyā vafādār haiñ ki milne meñ
dil suuñ sab rām-rām karte haiñ

kam-nigāhī soñ dekhte haiñ vale
kaam apnā tamām karte haiñ

kholte haiñ jab apnī zulfāñ kuuñ
sub.h-e-āshiq kuuñ shaam karte haiñ

sāhib-e-lafz us kuuñ kah sakiye
jis suuñ ḳhūbāñ kalām karte haiñ

dil lajāte haiñ ai 'valī' merā
sarv-qad jab ḳhirām karte haiñ

KHub-ru KHub kaam karte hain
yak nigah mein ghulam karte hain

dekh KHuban kun waqt milne ke
kis ada sun salam karte hain

kya wafadar hain ki milne mein
dil sun sab ram-ram karte hain

kam-nigahi son dekhte hain wale
kaam apna tamam karte hain

kholte hain jab apni zulfan kun
subh-e-ashiq kun sham karte hain

sahib-e-lafz us kun kah sakiye
jis sun KHuban kalam karte hain

dil lajate hain ai 'wali' mera
sarw-qad jab KHiram karte hain

RECITATIONS Fasih Akmal



00:00/00:00 KHub-ru KHub kaam karte hain Fasih Akmal

Leave a comment

+