mat ġhusse ke sho.ale suuñ jalte kuuñ jalātī jā
Tuk mehr ke paanī suuñ tū aag bujhātī jā
tujh chaal kī qīmat suuñ dil niiñ hai mirā vāqif
ai maan bharī chanchal Tuk bhaav batātī jā
is raat añdhārī meñ mat bhuul paḌūñ tujh suuñ
Tuk paañv ke jhāñjhar kī jhankār sunātī jā
mujh dil ke kabūtar kuuñ bāñdhā hai tirī laT ne
ye kaam dharam kā hai Tuk us ko chhuḌātī jā
tujh mukh kī parastish meñ ga.ī umr mirī saarī
ai but kī pujan-hārī Tuk us ko pujātī jā
tujh ishq meñ jal jal kar sab tan kuuñ kiyā kājal
ye raushnī afzā hai añkhiyā ko lagātī jā
tujh neh meñ dil jal jal jogī kī liyā sūrat
yak baar use mohan chhātī suuñ lagātī jā
tujh ghar kī taraf sundar aatā hai 'valī' daa.em
mushtāq daras kā hai Tuk dars dikhātī jā
mat ghusse ke shoale sun jalte kun jalati ja
Tuk mehr ke pani sun tu aag bujhati ja
tujh chaal ki qimat sun dil nin hai mera waqif
ai man bhari chanchal Tuk bhaw batati ja
is raat andhaari mein mat bhul paDun tujh sun
Tuk panw ke jhanjhar ki jhankar sunati ja
mujh dil ke kabutar kun bandha hai teri laT ne
ye kaam dharam ka hai Tuk us ko chhuDati ja
tujh mukh ki parastish mein gai umr meri sari
ai but ki pujan-haari Tuk us ko pujati ja
tujh ishq mein jal jal kar sab tan kun kiya kajal
ye raushni afza hai ankhiya ko lagati ja
tujh neh mein dil jal jal jogi ki liya surat
yak bar use mohan chhati sun lagati ja
tujh ghar ki taraf sundar aata hai 'wali' daem
mushtaq daras ka hai Tuk dars dikhati ja
RECITATIONS
Nomaan Shauque
00:00/00:00
mat gusse ke shole suun
Nomaan Shauque
Leave a comment